Online saman kaise mangaye

Aaj har koi online shopping karna pasand karta hai aur online shopping ki rafter teji se badti ja rahi hai kyonki ise aap ghar baithe apni manpasand ka saman online order kar sakte hai jahan se aapko bina koi molbhav kiye hi sasta saman mil jata hai.
Parantu agar aap samay aur paison ki bachat karna chahte hai to aap yahi saman online shopping karke kharid sakte hai. Aaj hume online har saman kharidane ki suvidha milti hai aur online shopping karne ke bahut sare fayde bhi hote hai jo aapko offline bazaar se kabhi nahi milte hai. Lekin bharat me kai logon ko online saman kaise mangaye iski jankari hi nahin hai. Jiske karan kai log online saman nahin manga pate hain.
Bahut sare logo kahna hai ki online shopping se hume nakli aur kharab saman milta hai parantu aise nahin hai kyonki har company apne product ki brand value badane ke liye apne online store uplabdh kar rahi hai aur aane vale samay me baki bazaar bhi online store me badalane vala hai.
Online Shopping kyon Karen
- Online se aapko bazaar ki tulana me sasta saman milta hai.
- Isme aapke samay ki bachat hoti hai kyonki online shopping karne ke liye aapko saman ko pasand karna hai aur use order karna hota hai.
- Offline bazaar ki tarah hi aap online kisi bhi brand ka saman kharid sakte hai.
- Online aapko kai sare offer aur special discount bhi deta hai, jo aapko bazaar me nahin milte hai.
- Online sale bhi hoti hai jisase aap sasta saman kharid sakte hain.
- Online order kiye gaye saman ki location bhi track kar sakte hai.
- Bazar ki tarah har kisi ke liye alag-alag kimat nahin hoti yah sabhi ke liye saman offer deti hai.
- Isme aapko “cash on delivery” jaise option bhi milte hai yani saman delivery ke samay payment dena hota hai.
Mobile se Online saman kaise mangayen
Step 1
Sabse pahle aapko Google Play store se Amazon App ko download karna hai .
Step 2
Jaise hi aap is App ko open karte hai to aapko 3 option diye jate hai. Agar aapne kabhi amazon se shopping ki hai to aap pahle vale option “Already a Customer? Sign in” par click Karen. Kyonki aap pahli bar shopping kar rahe hai to aapko “create new account” par click Karen.
Step 3
Ab aapke samne ek naya page open hota hai jisme aapko Name, mobile number, Gmail Account aur password dalkar continue button par click Karen.
Step 4
Amazon par aapka account ban chukka hai ab aap jab chahe online saman order kar sakenge
Step 5
Ab aapko jo online order karna hai use aap search box me type Karen jaise humne “Redme note mobile” ko search kiya hai.
Step 6
Ab aapke samne Redme note ke mobile aate hai usme se jise aap kharidana chahte hai us per click Karen
Step 7
Jaise hi aap us per click karte hai aapke samne us saman ki sari details aa jati hai aur uske niche “Buy Now” button hota hai us par click Karen.
Step 8
Jab aap Buy Now button par click karte hai to aapke samne ke form aate hai jahan par aapko apni sari details dalni padti hai aur usi address par online order kiya gaya saman aata hai.
Step 9
Ab aapse payment ke liye pahunch jayega agar cash on delivery available hai to aap use select Karen varna apne Debit Card, Credit card, Net banking etc. se aap payment de sakte hai aur is tarah se aap online shopping ghar baithe kar sakte hai.
Top online Shopping website India
Vaise to internet par bahut sari online shopping website maujud hai aur samay ke sath inki sankhya me badotari hoti ja rahi hai. Leking hum aapko un website ke bare me batane vale hai jinka India me online shopping hoti ja rahi hai. Lekin hum aapko un website ke bare me batane vale hai jinka India me Online shopping karne ke liye sabse jyada istemal kiya jata hai.
Amazon.in, Flipkart.com, Snapdeal.com , Jabong.com, Myntra.com, Paytm.com
In website ka istemal karke aap ghar baithe online shopping kar sakte hai to ab aap samajh chuke honge ki online shopping kaise karte hai kyonki humne aapko step by step mobile se online saman kaise mangaye ki puri jankari di hai.